Search This Blog

Saturday, September 22, 2018


बे-थाह समन्दर में सतह ढूँढ रहा हूँ 
सूरज से लड़ के ख़ुद की सुबह ढूँढ रहा हूँ 
Be-thaah samandar me.n satah Dhuu.nDh rahaa huu.n
Sooraj se laD ke Khud ki subah Dhuu.nDh rahaa huu.n

कुल खेल अनासिर का ख़ला में ये कायनात 
मैं ख़ाक के पुतले की जगह ढूँढ रहा हूँ
Kul khel anaasir ka Khalaa me.n ye kaa.enaat
Mai.n Khaak ke putle ki jagah Dhuu.nDh rahaa huu.n 

मुमकिन ये था कि कुछ भी न होता वजूद में 
अब है तो फिर होने की वजह ढूँढ रहा हूँ
Mumkin ye thaa ki kuchh bhi na hota vajuud me.n
Ab hai to phir hone ki vajah Dhuu.Dh rahaa huu.n 

डूबा था अपनी ज़ात के असरार के पीछे 
जीने के लिये साँस की रह ढूँढ रहा हूँ 
Duubaa tha apni zaat ke asraar ke piichhe
Jeene ke liye saa.ns ki rah Dhuu.nDh rahaa huu.n

तुम ने कहा कि इश्क़ से आलम का है वजूद 
मैं हूँ कि अब इस बात की तह ढूँढ रहा हूँ
Tumne kahaa ki ishq se aalam ka hai vajuud
Mai.n huu.n ki ab is baat ki tah Dhuu.nDh rahaa huu.n
--------------------------------------------------------------------
अनासिर (anaasir) - तत्व, पंचभूत (elements); ख़ला (Khalaa) - शून्य, अंतरिक्ष (space); ज़ात (zaat) - हस्ती, अस्तित्व (being, existence); असरार (asraar) - मर्म, भेद (secrets, mysteries)


No comments:

Post a Comment