Search This Blog

Tuesday, November 27, 2018

दरिया वहीं बहता रहा मेरे तुम्हारे बाद


दरिया वहीं बहता रहा मेरे तुम्हारे बाद
उस पेड़ का साया रहा मेरे तुम्हारे बाद
Dariyaa wahii.n bahtaa rahaa mere tumhaare baad
Us peD kaa saayaa rahaa mere tumhaare baad

बादल ख़बर लाया किये परदेस से चलकर 
सूरज सफ़र करता रहा मेरे तुम्हारे बाद
Baadal KHabar laayaa kiye pardes se chalkar
Sooraj saFar kartaa rahaa mere tumhaare baad 

दुनिया नई बनती रही ख़ल्क़ो-ख़ला के बीच 
जारी वही क़िस्सा रहा मेरे तुम्हारे बाद 
Duniyaa naii bantii rahii KHalq-o-KHalaa ke biich
Jaarii wahii qissaa rahaa mere tumhaare baad

वो नौजवाँ आशिक़ बने मुख़्लिस ओ बा-वफ़ा 
कुछ तो असर अच्छा रहा मेरे तुम्हारे बाद
Wo naujawaa.n aashiq bane muKHlis o baa-vafaa
Kuchh to asar achchhaa rahaa mere tumhaare baad

शायर ग़ज़ल छेड़े रहा उस रौज़ने-ज़िन्दाँ 
दरवेश भी गाता रहा मेरे तुम्हारे बाद 
Shaayar GHazal chheDe rahaa us rauzan-e-zindaa.n
Darwesh bhii gaataa rahaa mere tumhaare baad

दारो-रसन तक राह भर हँसता चला पीछे 
पर नाम ले रोता रहा मेरे तुम्हारे बाद 
Daar-o-rasan tak raah bhar ha.nstaa chalaa piichhe
Par naam le rotaa rahaa mere tumhaare baad

वो एक नाकामी ज़माने का सुकून थी 
उस एक का चर्चा रहा मेरे तुम्हारे बाद
Wo ek naakaamii zamaane kaa sukuun thii
Us ek kaa charchaa rahaa mere tumhaare baad

लहरें पलट आयीं जो मुस्तक़बिल के छोर से
माज़ी नया होता रहा मेरे तुम्हारे बाद
Lahre.n palaT aayii.n jo mustaqbil ke chhor se
Maazii nayaa hotaa rahaa mere tumhaare baad

तारीख़ पीछे थी नयी तख़्लीक़ थी आगे 
जिद्दोजहद चलता रहा मेरे तुम्हारे बाद 
TaariiKH piichhe thii nayii taKHliiQ thii aage
Jidd-o-jahad chaltaa rahaa mere tumhaare baad

- Ravi Sinha
------------------------------------------------------------------------------------
ख़ल्क़ो-ख़ला (KHalq-o-KHalaa) - सृष्टि और शून्य (creation and nothingness); मुख़्लिस (muKHlis) - निर्मल (pure); रौज़ने-ज़िन्दाँ (rauzan-e-zindaa.n) - कारागार की खिड़की (prison window); दारो-रसन (daar-o-rasan) - सूली और फन्दा (gallows); मुस्तक़बिल (Mustaqbil) - भविष्य (future); तख़्लीक़ (taKHliiq) - सृजन (creation)

No comments:

Post a Comment