[This one was written for those friends and acquaintances and many others who lost their companions of a lifetime during the pandemic.]
खो गयी है एक दुनिया आप के जाने के बाद
चर्ख़ पे एक और तारा आप के जाने के बाद
Kho gayii hai ek duniyaa aap ke jaane ke baad
CharKH pe ek aur taaraa aap ke jaane ke baad
जिस तरह से चाँद था, अरमान थे, दुनिया भी थी
उस तरह से अब रहा क्या आप के जाने के बाद
Jis tarah se chaa.nd thaa, armaan the, duniyaa bhi
thii
Us tarah se ab rahaa kyaa aap ke jaane ke baad
चार आँखें, इक समन्दर, एक सूरज, इक जहाज़
और क्या क्या डूबना था आप के जाने के बाद
Chaar aa.nkhe.n, ik samandar, ek suuraj, ik jahaaz
Aur kyaa kyaa Duubnaa thaa aap ke jaane ke baad
आप थे पैवस्त मुझमें और मैं कुछ आप में
रह गया है कौन कितना आप के जाने के बाद
Aap the paivast mujh me.n aur mai.n kuchh aap me.n
Rah gayaa hai kaun kitnaa aap ke jaane ke baad
कुछ कहे से सब सुना जाता था हम दोनों के बीच
अब किसी को क्या सुनाना आप के जाने के बाद
Kuchh kahe se sab sunaa jaataa tha ham dono.n ke
biich
Ab kisii ko kyaa sunaanaa aap ke jaane ke baad
क्या नफ़ा नुक़्सान कितना रोज़ करते थे हिसाब
क्या नफ़ा अब क्या ख़सारा आप के जाने के बाद
Kyaa nafaa nuqsaan kitnaa roz karte the hisaab
Kyaa nafaa ab kyaa KHasaaraa aap ke jaane ke baad
मीर ग़ालिब फ़ैज़ साहिर ग़म का मारा वो मजाज़
कोई मोमिन हो गया था आप के जाने के बाद
Mir Ghalib Faiz Sahir Gam ka maaraa vo Majaaz
Koi Momin ho gayaa thaa aap ke jaane ke baad
दर्द के नग़्मे सुनाती थी पुरानी शाइरी
अब वही नग़्मे सुनाना आप के जाने के बाद
Dard ke naGme sunaatii thii puraanii shaa.irii
Ab vahii naGme sunaanaa aap ke jaane ke baad
था अदब में एक क़िस्सा या फ़साने थे हज़ार
आप हैं मैं भी रहूँगा आप के जाने के बाद
Thaa adab me.n ek qissaa yaa fasaane the hazaar
Aap hai.n mai.n bhii rahu.ngaa aap ke jaane ke baad
- Ravi Sinha
-----------------------------------------------------------------
चर्ख़ – आसमान, चक्कर; पैवस्त – सम्मिलित; ख़सारा –
नुक़्सान
CharKH – sky, wheel; Paivast – assimilated; KHasaaraa – loss
No comments:
Post a Comment