Search This Blog

Wednesday, January 16, 2019

आप का आधा सा कुछ वादा रहा



आप का आधा सा कुछ वादा रहा 
और मैं कुछ मुतमइन ज़्यादा रहा 
Aap kaa aadhaa sa kuchh vaadaa rahaa
Aur mai.n kuchh mutma'in zyaadaa raha

बज़्म में हर एक पे तेरी नज़र 
और मैं बस तुझ पे आमादा रहा
Bazm me.n har ek pe terii nazar
Aur mai.n bas tujh pe aamaadaa rahaa 

अंजुमन में तो हुआ था एहतिराम 
उम्र भर वो शख़्स उफ़्तादा रहा 
Anjuman me.n to huaa thaa ehtiraam
Umr bhar vo shaKHs uFtaadaa rahaa

दामने-तहज़ीब पे धब्बे हैं यूँ 
बारहा मैं महफ़िले-आदा रहा 
Daaman-e-tehziib pe dhabbe hai.n yu.n
Barahaa mai.n mehfil-e-aadaa rahaa

एक तू था और इक तेरा वज़ीर 
मैं तुम्हारे खेल में प्यादा रहा 
Ek tuu thaa aur ik teraa vaziir
Mai.n tumhaare khel me.n pyaadaa rahaa

आप के आने के चर्चे शहर में 
और मैं रस्ते में इस्तादा रहा 
Aap ke aane ke charche shahr me.n
Aur mai.n raste me.n istaadaa rahaa

रूह की चालाकियों के फ़लसफ़े 
जिस्म का रद्दे-अमल सादा रहा  
Ruuh kii chaalaakiyo.n ke FalsaFe
Jism kaa radd-e-amal saadaa rahaa

- Ravi Sinha
-------------------------------------------------------------
मुतमइन (Mutma'in) - आश्वस्त (Assured); अंजुमन (Anjuman) - सभा (Meeting, Gathering); एहतिराम (Ehtiraam) - सम्मान (Honour); उफ़्तादा (UFtaadaa) - दुःखी (Miserable); महफ़िले-आदा (Mehfil-e-aadaa) - दुश्मनों की सभा (Assembly of Enemies); इस्तादा (Istaadaa) - खड़ा (Standing); रद्दे-अमल (Radd-e-amal) - प्रतिक्रिया (Response)

No comments:

Post a Comment