अब लकीरों की तसव्वुर से ठना करती है
अब बमुश्किल तिरी तस्वीर बना करती है
Ab
lakiiro.n ki tasavvur se Thanaa kartii hai
Ab
bamushkil tiri tasviir banaa kartii hai
साँस लौटी है थके जिस्म की ख़बरें लेकर
काँपती लौ भी अँधेरे की सना करती है
Saa.ns
lautii hai thake jism ki Khabare.n lekar
Kaa.nptii
lau bhi andhere ki sanaa kartii hai
रौशनी बन के तिरी याद तो आती है मगर
हाफ़िज़े में मिरे कोहरे से छना करती है
Raushnii
ban ke tirii yaad to aatii hai magar
Haafize
me.n mire kohre se chhanaa kartii hai
पेड़ बूढ़े थे तो दमभर न रुकी थी आँधी
सब्ज़ मौसम से उलझने को मना करती है
PeD
buuDHe the to dambhar na rukii thii aa.ndhii
Sabz
mausam se ulajhne ko manaa kartii hai
रूह रूपोश हुई दैर से कुछ शह पाकर
अब इबादत के सभी काम अना करती है
Ruuh
ruuposh huii dair se kuchh shah paakar
Ab
ibaadat ke sabhii kaam anaa kartii hai
-
Ravi
Sinha
--------------------------------------------------------
तसव्वुर (tasavvur) – कल्पना
(imagination); सना (sanaa) – प्रशंसा
(praise); हाफ़िज़ा (haafizaa) – स्मरण-शक्ति
(memory, capacity to remember); रूपोश (ruuposh) – अदृश्य, फ़रार (hidden, absconding); दैर (dair) – पूजागृह (temple, place of worship); अना (anaa) – स्व, ख़ुदी (self, ego)
No comments:
Post a Comment