Search This Blog

Wednesday, April 24, 2019

अब लकीरों की तसव्वुर से ठना करती है


अब लकीरों की तसव्वुर से ठना करती है 
अब बमुश्किल तिरी तस्वीर बना करती है 
Ab lakiiro.n ki tasavvur se Thanaa kartii hai
Ab bamushkil tiri tasviir banaa kartii hai

साँस लौटी है थके जिस्म की ख़बरें लेकर 
काँपती लौ भी अँधेरे की सना करती है
Saa.ns lautii hai thake jism ki Khabare.n lekar
Kaa.nptii lau bhi andhere ki sanaa kartii hai

रौशनी बन के तिरी याद तो आती है मगर 
हाफ़िज़े में मिरे कोहरे से छना करती है 
Raushnii ban ke tirii yaad to aatii hai magar
Haafize me.n mire kohre se chhanaa kartii hai

पेड़ बूढ़े थे तो दमभर रुकी थी आँधी 
सब्ज़ मौसम से उलझने को मना करती है 
PeD buuDHe the to dambhar na rukii thii aa.ndhii
Sabz mausam se ulajhne ko manaa kartii hai

रूह रूपोश हुई दैर से कुछ शह पाकर 
अब इबादत के सभी काम अना करती है 
Ruuh ruuposh huii dair se kuchh shah paakar
Ab ibaadat ke sabhii kaam anaa kartii hai

-       Ravi Sinha

--------------------------------------------------------
तसव्वुर (tasavvur)कल्पना (imagination)सना (sanaa)प्रशंसा (praise); हाफ़िज़ा (haafizaa)स्मरण-शक्ति (memory, capacity to remember); रूपोश (ruuposh)अदृश्यफ़रार (hidden, absconding); दैर (dair)पूजागृह (temple, place of worship); अना (anaa)स्व, ख़ुदी (self, ego)