रात अटकी है क़मर देखने वाले न गए
कैसे सिमटे ये बहर तैरने वाले न गए
Raat
atkii hai qamar dekhne waale na gaye
Kaise simTe ye bahr tairne waale na gaye
Kaise simTe ye bahr tairne waale na gaye
देख तारीख़ के इस दौर में बेचैनी है
होशो-ज़िद रख्ते-सफ़र पीठ पे डाले न गए
Dekh
taariikh ke is daur me.n bechainii hai
Hosho-zid rakhte-safar piith pe Daale na gaye
Hosho-zid rakhte-safar piith pe Daale na gaye
वो सदी थी कि इमारत बनी भी टूटी भी
ये सदी है कि अभी ख़्वाब भी पाले न गए
Wo
sadii thii k' imaarat banii bhi tuutii bhii
Ye sadii hai k' abhii khwaab bhi paale na gaye
Ye sadii hai k' abhii khwaab bhi paale na gaye
राख होना ही था आख़िर क' तुख़्मे-आतिश
में
रौशनी के ख़यालो-राज़ जो डाले न गए
Raakh
hona hi thaa aakhir k' tukhme-aatish me.n
Raushnii ke khayaalo-raaz jo Daale na gaye
Raushnii ke khayaalo-raaz jo Daale na gaye
क्या शिकायत जो कायनात में क़हर बरपा
हमसे इक दिल के हादसात तो टाले न
गए
Kyaa
shikaayat jo kaainaat me.n qahar barpaa
Hamse ik dil ke haadsaat to Taale na gaye
Hamse ik dil ke haadsaat to Taale na gaye
ज़ख़्मे-दिल खोल के बैठेंगें जो तन्हा होंगें
सामने उनके ही तोहफ़े वो निकाले न गए
Zakhe-dil
khol ke baiThe.nge.n jo tanhaa ho.nge.n
Saamne unke hii tohfe wo nikaale na gaye
Saamne unke hii tohfe wo nikaale na gaye
बे-नियाज़ी मिरी अब नागवार है उनको
जिनसे वो साल लगावट के सँभाले न गए
Be-niyaazii
mirii ab naagawaar hai unko
Jinse wo saal lagaawaT ke sambhaale na gaye
Jinse wo saal lagaawaT ke sambhaale na gaye
इक धमाका था जो आलम की फुसफुसाहट है
और उनको है गिला दूर तक नाले न गए
Ik
dhamaakaa thaa jo aalam ki phusphusaahaT hai
Aur unko hai gilaa door tak naale na gaye
Aur unko hai gilaa door tak naale na gaye
एक मासूम जली मुल्क के उस कोने में
ता-अबद क़ौम की हस्ती से ये छाले न गए
Ek maasuum jalii mulk ke us kone me.n
taa-abad qaum kii hastii se ye chhaale na gaye
taa-abad qaum kii hastii se ye chhaale na gaye
-
Ravi Sinha
-------------------------------------------------
क़मर (qamar) - चाँद
(the moon); बहर (bahr) - समुद्र (the sea); रख़ते-सफ़र (rakhte-safar) - यात्रा के
लिए सामान (things needed on a journey); तुख़्मे-आतिश
(tukhme-aatish) - आग के बीज (seeds of fire); कायनात (kainaat)
- ब्रह्मांड ((Universe); हादिसात (haadisaat) - दुर्घटनाएँ
(accidents); बे-नियाज़ी (be-niyaazii) - निस्पृहता, उदासीनता (unconcern); आलम
(aalam) - संसार (world); नाले (naale) - पुकार (wails); ता-अबद
(taa-abad) - अनन्त काल तक (till eternity)
No comments:
Post a Comment